π Gorakhnath Mandir – Ek Shakti aur Shraddha ka Prateek Gorakhnath Mandir, jo ki Uttar Pradesh ke Gorakhpur district mein sthit hai, sirf ek dharmik sthal nahi balki ek aadhyatmik, sanskritik aur samajik kendra bhi hai. Har saal yahaan lakhon bhakt aate hain darshan aur pooja ke liye. Yeh mandir Guru Gorakhnath ji ke naam par sthapit hai, jo Nath Sampraday ke mahan yogi the. . π History In Gorakhnath Mandir Gorakhnath ji ka sambandh 11th–12th century se maana jaata hai. Unhone yog aur tantra ki vidya ko logon tak pahunchaya aur unka jeevan aaj bhi lakhs of logon ke liye prerna ka strot hai. Gorakhnath Mandir ka nirman kai stages mein hua, aur aaj iska present structure kaafi bada aur bhavy hai. π️ Mandir Ka Varnan Main Temple : Jahan Gorakhnath ji ki pratima sthit hai. Yagya Shala : Jahan hamesha havan aur path hote hain. Gaushala : Mandir ke andar ek bada cow shelter bhi hai. Library aur Research Centre : Yaha...
Nauka Vihar in Gorakhpur Jab bhi Gorakhpur ki baat hoti hai, log sabse pehle Gorakhnath Mandir ya Geeta Vatika ko yaad karte hain. Lekin agar aap thoda sukoon chahte hain, nature ke kareeb kuch waqt bitana chahte hain, toh Ramgarh Tal mein nauka vihar ek must-try experience hai. πNauka Vihar In Gorakhpur Nauka vihar Ramgarh Tal lake par bana hua badi hi sundar jagah hai jo Gorakhpur ke heart me basa hua hai. yahaan ka boad ride ka exprience kisi hill station se kam nahi lagta. shant paani, thandi hawa ,aur aas-pass ki greenery is ride ko aur bhi memorable bana deti hai. πΆ Boat Ride Options Yahaan aapko alag-alag tahar ki boats milti hain: Paddle Boads- Couples ya friends ke liye best . Motor Boads - Thoda thrill chahiye toh perfect. Shikara Style Boads - Kashmir wali feeling Gorak...
π± Dugdheswar Nath Mandir – Ek Rahasyamayi Shiv Dham (Rudrapur, Deoria) Rudrapur (Deoria, UP) ke beechon-beech sthit hai ek aisa Shiv dham jiska rahasya aaj tak logon ko hairan karta aaya hai – Dugdheswar Nath Mandir . Ye mandir na sirf dharmik roop se mahatvapurn hai, balki iska itihas aur usse judi kahaniyaan ise aur bhi vishesh banati hain. π️ Mandir ka Itihaas Maanita hai ki is mandir ka nirmaan 11vi sadi mein Raja Hari Singh ne karwaya tha. Tab se lekar aaj tak yahaan bhakton ka silsila bana hua hai. Is mandir ka sabse adbhut pehlu hai yahaan sthit Shivling , jiska aakaar aur gahraai ab tak koi nahi jaan paya hai. Lok-kathaon ke mutabik yeh Shivling paataal tak jata hai ! π Bhakti aur Shraddha ka Kendra Har saal Mahashivratri aur Shravan Maas ke dauran yahaan hazaron bhakt puja aur jalabhishek ke liye aate hain. Nepal, Bihar aur UP ke anek hisso se log yahaan darshan karne ke liye aate hain. Shraddhaluon ka maanna hai ki yahaan maangi gayi manokaamna Shiv ji zarur poori kart...