🔱12 Jyotirlingaon Bharat Ke Pavitra Shiv Mandir
🔱12 Jyotirlingaon kon kon se hai aur uske mahatva: Kya aapko pata hai ki Bharat me Lord Shiva ke 12 jyotirlinga hain, jinka ullekh Shiv Puran me milta hai? Ye 12 Jyotirlingaon Hindu ke liye bahut maine rakhta hai . Ye sirf mandir nahi hain, divya energy ke epicenters hain. Har ek jyotirlinga apne aap me ek unique kahani ko bata hai , spiritual vibration feel hota hai aur har mandir me ek alag hi sukoon milta hai Agar aap bhi ek spiritual traveller hain, ya bhakati me ruchi rakhte hain, toh ye blog aapke liye hai. Is blog me apko 12 Jyotirlingaon ke bare me bataya gya hai 🌟 12 Jyotirlinga ke Name & short story 1. Somnath Jyotirlinga Chandradev ne jab apna tej kho diya toh unhone Bhole Baba ki tapasya ki. Shivji ne unhe shraap se mukti di aur yahi bana Somnath. 🔱 2. Mallikarjuna Jyotirlinga Shiv-Parvati ne apne putra Kartikeya ke pas jaane ke liye Srisailam me apna nivas banaya. Tab se yeh dham Maa-Baap ke prem ka prateek mana jat...